Thursday, January 21, 2010

Spontaneously Poetic

Please note that while the friend quoted here is superbly talented with this kinda stuff, I suck at it just as much. Even at playing along. Keeping that in mind, the efforts visible later in the following text must be appreciated.
P: namaskar
me: haanji

P: ji namaskar
me: namaste

P: haanji wohi namaskar
me: namaskar

P: bahut achche namaskar
me: :|

P: ji ji .. maine bhi wohi bola.. namaskar
me: phurrrr

P: ekdum sahi jawab... isi baat par aapko milta hai ek phurrraskar... ji namaskar
me: grrrrrrrrrrrr

P: grrrrrrrte padte logon ko bhi namaskar
me: main sirf lazy leti hui hoon

P: letne par bhi namaskar... ho aapka theek se satkar... ji namaskar
me: :(

P: aage ke daant char, kyon dukhi hain sarkar? ji namaskar
me: :)

P: lag rahe ho sunder apaar... kya muskan hai yaar.. ji namaskar
me: tum to bade talented ho

P: talent ki ho rahi hai bharmar... ji namaskar
me: talent ne paida kar di maaramaar...

P: maramar ka daalo achaar, wo nahin to thoda murabba bana lo mere yaar... ji namaskar
me: hehe...

P: he he se hi karo atithi ka aadar satkar, ji namaskar
me: yahan atithi nai aate

P: atithi nahin hai to dosto ke saath lo kuch pal guzaar, ji namaskar
me: :)

P: aage bhi to kuch bolo sarkar! ji namaskar
me: sarkar is in awe

P: awe-rat awe-r aadmi mein rahe sada pyaar! ji namaskar
me: hahaa
ye sahi hai!
kuch bhi...

P: hahaa-th ki mehnat ki roti, aur pyaz ke saath aam ka achaar! ji namaskar
me: pyaz nai achha...

P: to mooli ke paranthe kara lo tayaar... ji namaskar
me: lol

P: chup na raho... bolte rehne se chalega is kavita ka sansar! ji namaskar
me: sansar ka kya hai...
wo to aise hi chalta rehta hai

P: sansar mein kar raha galat sahi par nirantar waar! ji namaskar
me: waar nai, chahiye hai pyaar

P: zyada pyaar se kam honge waar, ji namaskar
me: to aap kis se karte hain pyaar?

P: main zingadi se aur zindagi dene wale se karta hoon pyaar, ji namaskar
me: wo to mere desktop pe bhi rehte hain sawaar...

P: rehne do rehne do... mat dena unko utaar, ji namaskar
me: haan, aur wo hara rang deta hai unki photo nikhaar... :D

P: rang banao rang lagao, aane wala hai holi ka tyohaar, ji namaskar
me: par bhang pi ke na machao hahakaar...

P: aisee achchi achchi baatein karne par milega aapko puraskar, ji namaskar
me: puraskar dena is hi ravivaar... meri chhutti hai

P
: is ravivar ko to ghar par aaram farma rahe honge hum sarkar! ji namaskar
me: par hum to baithe they karte aapka intezaar...
.
.
.
P: haanji haanji, ji namaskar
me: :D

7 comments:

~ ॐ ~ said...

:) it was fun!

Jas B said...

Yeah, he's great with such stuff! :)

swetha said...

baatein kar lo chaar - beshumaar :)

RB said...

OM,
Totally! :)

Jas,
:) Tell me about it!

Swetha,
:)

Aro said...

bahut badhiya....

RB said...

Bilkul!

Swati said...

:D